Maa Ke Doodh Ke Faidy ( Benefits of mother feed ) In Urdu

Maa Ke Doodh Ke Faidy ( Benefits of mother feed ) In Urdu 

Ibtadayi chand dinon mein farahum hone wala doodh is lehaz se munfarid aur faidah mand hota hai keh is mein madafati sufaid khalyat (WBC) kaseer taadad mein taqreeban (100%) ziadah mojood hote hain. Phir is doodh mein protein ki moqdar mamul se das guna ziada hoti hai takeh bache ki barhti huyi jismani zarooryat ko pura kia jasake. Insani bache ki nasho numa ke liye jo zaroori amino acids darker hain wo sab theek moqdar mein is doodh mein hote hain. Chiknayi bhi ziadah tar ghair ser shudah fatty acids par mushtamil hoti hai jo aasani se hazam ho ke jazo badan ban jati hai. Isi wajah se man ke doodh mein mojood vitamin A aankho ki aur vitamin D haddiyon ki nasho numa ke liye zaroori hain. Namkiyat ki moqdar maan ke doodh mein buhat kam hoti hai jis ke bais nazuk gurday ghair zaroori dabao se mehfooz rehte hain...
Maa Ke Doodh Ke Faidy ( Benefits of mother feed ) In Urdu 1 Maa Ke Doodh Ke Faidy ( Benefits of mother feed ) In Urdu 2
mardana kamzori ka ilaj shadi course
hakeem imran kamboh

Post a Comment

0 Comments