Pakistani society mein Surat e inzal (Premature Ejaculation) ki ek bohut bari wajah jagah aur waqt ki qillat hoti hai. Humarey yahan 90% logon ko jinsi amal kay liye alaehda room nahi miltey jis ki wajah sey woh amooman bachun waley room mein hi yeh fareeza ada kartey hain. Iss soorat mein mard ko khauf hota hai kay koi bacha jag naa jaey Chunancha iss ki khwahish hoti hai ka kisi bachey kay jagnay sey pehley woh jinsi amal ko mukammal karley. Iss tarhan woh jald farigh ho jata hai. 2 or 4 bar iss tarhan honay kay baad Surat e inzal iss ki adat ban jati hai
0 Comments